jis raaz ko duniyā jāntī hai duniyā se chhupātā rahtā huuñ
vo hote haiñ har sū jalva-numā maiñ aañkh bachātā rahtā huuñ
tum mujh se na pūchho haal mirā maiñ ashk bahātā rahtā huuñ
jo aag nahīñ bujh saktī hai vo aag bujhātā rahtā huuñ
haal un kā mujhe mā'lūm nahīñ kuchh aur merā mafhūm nahīñ
aksar ye nazar se guzrā hai nazroñ meñ samātā rahtā huuñ
us zauq-e-tajassus ke qurbāñ 'ālam se judā hai rāhravī
har gaam ye apne rahbar ko ik raah batātā rahtā huuñ
ye rāz-o-niyāz-e-mai-kHāna kyā samjhegā koī dīvāna
vo mujh ko pilāte rahte haiñ maiñ un ko pilātā rahtā huuñ
vo hañste haiñ maiñ rotā huuñ hai 'ishq meñ ye kaisā 'ālam
vo aag lagāte rahte haiñ maiñ aag bujhātā rahtā huuñ
ulfat kī kahānī duniyā meñ 'bahzād' koī suntā hī nahīñ
ḳhud apne hī dil ko apnā hī afsāna sunātā rahtā huuñ
jis raaz ko duniya jaanti hai duniya se chhupata rahta hun
wo hote hain har su jalwa-numa main aankh bachata rahta hun
tum mujh se na puchho haal mera main ashk bahata rahta hun
jo aag nahin bujh sakti hai wo aag bujhata rahta hun
haal un ka mujhe ma'lum nahin kuchh aur mera mafhum nahin
aksar ye nazar se guzra hai nazron mein samata rahta hun
us zauq-e-tajassus ke qurban 'alam se juda hai rahrawi
har gam ye apne rahbar ko ek rah batata rahta hun
ye raaz-o-niyaz-e-mai-kHana kya samjhega koi diwana
wo mujh ko pilate rahte hain main un ko pilata rahta hun
wo hanste hain main rota hun hai 'ishq mein ye kaisa 'alam
wo aag lagate rahte hain main aag bujhata rahta hun
ulfat ki kahani duniya mein 'bahzad' koi sunta hi nahin
KHud apne hi dil ko apna hi afsana sunata rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.