din Dhalā Dhal ke vaqt-e-shām aayā
be-qarārī kā phir salām aayā
jab kisī ne koī savāl kiyā
lab pe ghabrā ke un kā naam aayā
sab ko saaqī ne kar diyā sairāb
haaye mujh tak na koī jaam aayā
dil kī hastī tabāh ho ke rahī
'ishq kā naam mere kaam aayā
miT ga.ī be-qarārī-e-shab-e-ġham
sub.h ban kar kisī kā naam aayā
muztar dard-e-mudda'ā 'bahzād'
dar-e-murshid se shaad kaam aayā
din Dhala Dhal ke waqt-e-sham aaya
be-qarari ka phir salam aaya
jab kisi ne koi sawal kiya
lab pe ghabra ke un ka nam aaya
sab ko saqi ne kar diya sairab
haye mujh tak na koi jam aaya
dil ki hasti tabah ho ke rahi
'ishq ka nam mere kaam aaya
miT gai be-qarari-e-shab-e-gham
subh ban kar kisi ka nam aaya
muztar dard-e-mudda'a 'bahzad'
dar-e-murshid se shad kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.