kis ne samajh liyā mujhe kaun samajh sakā mujhe
gum hoñ kisī kī yaad meñ apnā nahīñ patā mujhe
kyuuñ haiñ ye āh-o-zāriyāñ kyuuñ haiñ ye be-qarāriyāñ
shaam hī 'ain-e-sub.h thī sub.h ko ye khulā mujhe
rāhbaroñ se chal sakā kaam na rāh-e-'ishq meñ
jab milā koī rāhzan mil gayā rāsta mujhe
ghar ko ḳhudā ke chhoḌ kar dair kī samt huuñ ravāñ
haaye kidhar ko le chalā dil kā mu'āmala mujhe
'ishq kā jo ma.aal hai vo bhī 'ajīb haal hai
yā'nī ḳhushī kī ruup meñ ġham hī nazar paḌā mujhe
tere qadam se duur thī merī jabīn-e-ārzū
terī nigāh-e-nāz ne de diyā hausla mujhe
haal jo ho gayā zubūñ hone lagā jo sar-nigūñ
zarre jahān-e-'ishq ke dene lagī sadā mujhe
kis ne samajh liya mujhe kaun samajh saka mujhe
gum hon kisi ki yaad mein apna nahin pata mujhe
kyun hain ye aah-o-zariyan kyun hain ye be-qarariyan
sham hi 'ain-e-subh thi subh ko ye khula mujhe
rahbaron se chal saka kaam na rah-e-'ishq mein
jab mila koi rahzan mil gaya rasta mujhe
ghar ko KHuda ke chhoD kar dair ki samt hun rawan
haye kidhar ko le chala dil ka mu'amala mujhe
'ishq ka jo maal hai wo bhi 'ajib haal hai
ya'ni KHushi ki rup mein gham hi nazar paDa mujhe
tere qadam se dur thi meri jabin-e-arzu
teri nigah-e-naz ne de diya hausla mujhe
haal jo ho gaya zubun hone laga jo sar-nigun
zarre jahan-e-'ishq ke dene lagi sada mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.