Sufinama

kahuu.n kyaa tere bhuulne ke mai.n vaarii

Hilm Aaghai Abulolai

kahuu.n kyaa tere bhuulne ke mai.n vaarii

Hilm Aaghai Abulolai

MORE BYHilm Aaghai Abulolai

    kahuu.n kyaa tere bhuulne ke mai.n vaarii

    kanhaiyaa yaad hai kachhu bhii hamaarii

    bamnaa kii mintii mai.n kar-kar puuchhii

    pal-pal kii khabar tihaarii

    payyaa.n pa.Dii mahaadev ke jaa kar

    Tonaa bhii kar-kar haarii

    kanhaiyaa yaad hai kachhu bhii hamaarii

    khaak pare logo us biyaahane par

    achchhaa thaa rahtii ku.nvaarii

    maa.ike me.n rahtii thii mai.n 'hilm' sukh se

    phirtii thii kyuu.n maarii-maarii

    kanhaiyaa yaad hai kuchh bhii hamaarii

    kahuu.n kyaa tere bhuulne ke mai.n vaarii

    kanhaiyaa yaad hai kachhu bhii hamaarii

    bamnaa kii mintii mai.n kar-kar puuchhii

    pal-pal kii khabar tihaarii

    payyaa.n pa.Dii mahaadev ke jaa kar

    Tonaa bhii kar-kar haarii

    kanhaiyaa yaad hai kachhu bhii hamaarii

    khaak pare logo us biyaahane par

    achchhaa thaa rahtii ku.nvaarii

    maa.ike me.n rahtii thii mai.n 'hilm' sukh se

    phirtii thii kyuu.n maarii-maarii

    kanhaiyaa yaad hai kuchh bhii hamaarii

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 397)
    • Edition : Second

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now