ban ke bijlī sāmne aanā na chhoḌ
dekhā dekhā bas le bas āñkheñ na phoḌ
mere aañsū poñchh kar hañstā hai kyā
ik zarā bhīgā huā āñchal nichoḌ
baḌh ke mil jaane se hai milne kī aas
jis pe jiitā huuñ sahārā vo na toḌ
aap tak aane kī galiyāñ haiñ kaThin
maar utāreñge yahīñ se toḌ-moḌ
'ārzū' toḌā hai jis ne aasrā
phir bharosā kar usī par jī na chhoḌ
ban ke bijli samne aana na chhoD
dekha dekha bas le bas aankhen na phoD
mere aansu ponchh kar hansta hai kya
ek zara bhiga hua aanchal nichoD
baDh ke mil jaane se hai milne ki aas
jis pe jita hun sahaara wo na toD
aap tak aane ki galiyan hain kaThin
mar utarenge yahin se toD-moD
'arzu' toDa hai jis ne aasra
phir bharosa kar usi par ji na chhoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.