mukhḌā to kahāñ dekhī thī haañ ek jhalak sī
ab tak hue jaatī hai kaleje meñ chamak sī
chubhte hue dekhā hai na kāñTā na koī phāñs
ai saañs batā de ye hai kaahe kī khaTak sī
hai dekhnā bijlī kā burā jot na jal jaa.e
us par bhī jo āñkheñ nahīñ bas kī to palak sī
kuchh aur tū kahnā nahīñ ai 'ārzū' un se
haañ ye ki satā jaatī hai aa aa ke lalak sī
mukhDa to kahan dekhi thi han ek jhalak si
ab tak hue jati hai kaleje mein chamak si
chubhte hue dekha hai na kanTa na koi phans
ai sans bata de ye hai kahe ki khaTak si
hai dekhna bijli ka bura jot na jal jae
us par bhi jo aankhen nahin bas ki to palak si
kuchh aur tu kahna nahin ai 'arzu' un se
han ye ki sata jati hai aa aa ke lalak si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.