ye kis Dhab se aañkh us kī jī par paḌī hai
nikaltī nahīñ phāñs aisī gaḌhī hai
barābar kī hai chheḌ milnā na milnā
kaThin hai hamāre liye jo ghaḌī hai
milī aañkh māthe se Tapkā pasīnā
ye chāhat ke sāvan kī pahlī jhaḌī hai
hilā.e koī hoñT kyā us ke aage
chhurī taane chitvan to sar par khaḌī hai
na.e ruup bhartā hai chāhat kā maalā
jo rakkho to guchchā uThā lo laḌī hai
jahāñ apne hī bas kā ho tinkā tinkā
kahīñ raaj se baḌh ke vo jhoñpaḌī hai
ye kis kis ko us kī lagāvaT ne maarā
jidhar dekhiye ek piTTas paḌī hai
sulajh lī na jab tak tire chap kī gutthī
kaleje meñ saañs aate jaate aḌī hai
achānak taḌap kyuuñ baḌhī ab meñ samjhā
ulaT kar mirī haaye mujh par paḌī hai
batā degī bhed 'ārzū' niiñd uḌ kar
ki jo raat chhoTī thī ab kyuuñ baḌī hai
ye kis Dhab se aankh us ki ji par paDi hai
nikalti nahin phans aisi gaDhi hai
barabar ki hai chheD milna na milna
kaThin hai hamare liye jo ghaDi hai
mili aankh mathe se Tapka pasina
ye chahat ke sawan ki pahli jhaDi hai
hilae koi honT kya us ke aage
chhuri tane chitwan to sar par khaDi hai
nae rup bharta hai chahat ka mala
jo rakkho to guchcha uTha lo laDi hai
jahan apne hi bas ka ho tinka tinka
kahin raj se baDh ke wo jhonpaDi hai
ye kis kis ko us ki lagawaT ne mara
jidhar dekhiye ek piTTas paDi hai
sulajh li na jab tak tere chap ki gutthi
kaleje mein sans aate jate aDi hai
achanak taDap kyun baDhi ab mein samjha
ulaT kar meri haye mujh par paDi hai
bata degi bhed 'arzu' nind uD kar
ki jo raat chhoTi thi ab kyun baDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.