ishq tujhse sanam nahin hota
'ishq tujh se sanam nahīñ hotā
gar ḳhudā kā karam nahīñ hotā
jo tū sābit-qadam nahīñ hotā
mujh ko itnā aham nahīñ hotā
jab nazar se nazar nahīñ miltī
dil pe koī sitam nahīñ hotā
jo mohabbat meñ hote haiñ kHāde’
un kā koī haram nahīñ hotā
maiñ agar be-karāñ na karatā 'ishq
un ko ḳhud par manam nahīñ hotā
'āshiqī ne kiyā hai yuuñ be-bas
hāl-e-dil ab raqam nahīñ hotā
she'r-goī agar na karatā maiñ
nām-e-‘rahbar’ 'alam nahīñ hotā
'ishq tujh se sanam nahin hota
gar KHuda ka karam nahin hota
jo tu sabit-qadam nahin hota
mujh ko itna aham nahin hota
jab nazar se nazar nahin milti
dil pe koi sitam nahin hota
jo mohabbat mein hote hain kHade’
un ka koi haram nahin hota
main agar be-karan na karata 'ishq
un ko KHud par manam nahin hota
'ashiqi ne kiya hai yun be-bas
haal-e-dil ab raqam nahin hota
she'r-goi agar na karata main
nam-e-‘rahbar’ 'alam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.