mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar

mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar
Aas Rahbar Kalkattavi
MORE BYAas Rahbar Kalkattavi
mujhe ġhairoñ meñ na sharīk kar mirī chāhatoñ ko nakār kar
mujhe apne aap meñ DhūñD tū mujhe mukHlisoñ meñ shumār kar
mirī chāhatoñ pe yaqīn kar mire 'ishq kā hai ḳhudā gavāh
mujhe apne dil meñ tū de jagah mire haq meñ soch-vichār kar
maiñ huuñ munhamik tirī yaad meñ mujhe ek pal bhī sukūñ nahīñ
mire qalb ko tū sukūn de mire paas aa mujhe pyaar kar
mirī dhaḌkanoñ kī pukār sun mirī zindagī kī tū ain ban
maiñ rafīq huuñ tire dard kā mirī zaat ko tū na zaar kar
ġham-e-hijr kī tū na baat kar yuuñ na mujh pe kar tū mubāh ġham
tū na duur jā na mujhe satā mirī chashm-e-nam tū na yaar kar
zamīñ āsmāñ bhī haiñ kam bahut mire 'ishq kī tū karāñ na pūchh
jo maiñ duuñ tujhe kabhī koī ġham to shikāyateñ tū hazār kar
maiñ huuñ qāfiya tū radīf hai maiñ ḳhayāl huuñ tū ’arūz hai
mirā ho ke tū mirī zindagī kī ġhazal kā ūñchā vaqār kar
maiñ jo sochtā huuñ use kabhī to ye mujh se kahtā hai dil mirā
hai udaas kis liye 'rahbar' ab use phir se dekh pukār kar
mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar
mujhe apne aap mein DhunD tu mujhe mukHlison mein shumar kar
meri chahaton pe yaqin kar mere 'ishq ka hai KHuda gawah
mujhe apne dil mein tu de jagah mere haq mein soch-wichaar kar
main hun munhamik teri yaad mein mujhe ek pal bhi sukun nahin
mere qalb ko tu sukun de mere pas aa mujhe pyar kar
meri dhaDkanon ki pukar sun meri zindagi ki tu ain ban
main rafiq hun tere dard ka meri zat ko tu na zar kar
gham-e-hijr ki tu na baat kar yun na mujh pe kar tu mubah gham
tu na dur ja na mujhe sata meri chashm-e-nam tu na yar kar
zamin aasman bhi hain kam bahut mere 'ishq ki tu karan na puchh
jo main dun tujhe kabhi koi gham to shikayaten tu hazar kar
main hun qafiya tu radif hai main KHayal hun tu ’aruz hai
mera ho ke tu meri zindagi ki ghazal ka uncha waqar kar
main jo sochta hun use kabhi to ye mujh se kahta hai dil mera
hai udas kis liye 'rahbar' ab use phir se dekh pukar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.