toD ke jate hain rishte na nibhane wale
toḌ ke jaate haiñ rishte na nibhāne vaale
yaad aate haiñ sadā chhoḌ ke jaane vaale
thī mohabbat kī ramaq un kī nigāhoñ meñ kabhī
ab to āñkheñ hī dikhāte haiñ milāne vaale
ham se ulfat hai unheñ aur nibhā.eñge vo
kah ke jaate haiñ yahī pyaar jatāne vaale
zindagānī maiñ karūñ apnī tire naam magar
kah ke ye baat bane tum bhī rulāne vaale
us ne gar merī mohabbat ko jalāyā hai to
jal bhī sakte haiñ kisī roz jalāne vaale
tum ne ḳhushiyoñ meñ to har vaqt mirā saath diyā
ġham meñ kyuuñ chhoḌ ga.e ġham ko miTāne vaale
pyaar kā diip maiñ hāthoñ meñ liye baiThā huuñ
kyuuñ nahīñ aate haiñ ab us ko jalāne vaale
un kī yādoñ meñ hai mashġhūl mirā dil har dam
aur yaqīñ hai mujhe ā.eñge vo aane vaale
she'r-goī meñ tū kyuuñ Duub gayā hai 'rahbar'
ab tujhe kahte haiñ shā'ir ye zamāne vaale
toD ke jate hain rishte na nibhane wale
yaad aate hain sada chhoD ke jaane wale
thi mohabbat ki ramaq un ki nigahon mein kabhi
ab to aankhen hi dikhate hain milane wale
hum se ulfat hai unhen aur nibhaenge wo
kah ke jate hain yahi pyar jatane wale
zindagani main karun apni tere nam magar
kah ke ye baat bane tum bhi rulane wale
us ne gar meri mohabbat ko jalaya hai to
jal bhi sakte hain kisi roz jalane wale
tum ne KHushiyon mein to har waqt mera sath diya
gham mein kyun chhoD gae gham ko miTane wale
pyar ka dip main hathon mein liye baiTha hun
kyun nahin aate hain ab us ko jalane wale
un ki yaadon mein hai mashghul mera dil har dam
aur yaqin hai mujhe aaenge wo aane wale
she'r-goi mein tu kyun Dub gaya hai 'rahbar'
ab tujhe kahte hain sha'ir ye zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.