talawwun tera roz hum dekhte hain
talavvun terā roz ham dekhte haiñ
sitam dekhte haiñ karam dekhte haiñ
mohabbat kī nazroñ se dushman ko dekhā
na dekhā ye tum ne ki ham dekhte haiñ
muravvat hai paidā kisī kī nazar meñ
ye terā asar chashm-e-nam dekhte haiñ
na laate kabhī lab pe harf-e-tamannā
tumhārī nigāh-e-karam dekhte haiñ
tumheñ dekh kar shān-e-haq ham ne dekhī
ye kyā aur ahl-e-haram dekhte haiñ
kahīñ dil hamārā na uljhā huā ho
tirī zulf ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
vo dekhā hai jo kuchh dikhāyā ḳhudā ne
abhī dekheñ kyā aur ham dekhte haiñ
tamannā bar aa.ī hai 'bedil' hamārī
'alam un kī teġh-e-do-dam dekhte haiñ
talawwun tera roz hum dekhte hain
sitam dekhte hain karam dekhte hain
mohabbat ki nazron se dushman ko dekha
na dekha ye tum ne ki hum dekhte hain
murawwat hai paida kisi ki nazar mein
ye tera asar chashm-e-nam dekhte hain
na late kabhi lab pe harf-e-tamanna
tumhaari nigah-e-karam dekhte hain
tumhein dekh kar shan-e-haq hum ne dekhi
ye kya aur ahl-e-haram dekhte hain
kahin dil hamara na uljha hua ho
teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
wo dekha hai jo kuchh dikhaya KHuda ne
abhi dekhen kya aur hum dekhte hain
tamanna bar aai hai 'bedil' hamari
'alam un ki tegh-e-do-dam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.