faqat main hi nahin aashiq ki meri jaan-e-jaan tum ho
faqat maiñ hī nahīñ 'āshiq ki merī jān-e-jāñ tum ho
jahāñ kī hai nazar tum parda mahbūb-e-jahāñ tum ho
tumhārā husn-e-zebā hai bahār-e-gulshan-e-jannat
ḳhudā shāhid hai us kā hāsil-e-bāġh-e-jināñ tum ho
tumhāre nām-levā haiñ sabhī aadam se 'iisā tak
samajh meñ aa gayā ījād bazm-e-kun-fakāñ tum ho
jo tum ne jalva-gāh-e-husn āñkhoñ ko banāyā hai
ye kaisī parda-dārī hai ki phir dil meñ nihāñ tum ho
añdhere se hameñ marqad ke ai māh-e-'arab kyā Dar
ujālā hī ujālā hai jahāñ tum ho jahāñ tum ho
tumhīñ nūr-e-ilāhī ho tumhīñ ho bā'is-e-ḳhilqat
tumhīñ se hai zuhūr us kā nishān-e-be-nishāñ tum ho
na aa.egā vahāñ to kaam koī yār-o-be-gāna
qayāmat ke magar haamī shafī'-e-'āsiyāñ tum ho
tumhāre dard-e-furqat se banī hai jaan par merī
marā jaatā huuñ furqat meñ mirī rūh-e-ravāñ tum ho
'abas hai zohd-o-taqvā kī tumheñ to fikr ai 'bedil'
yahī kaafī vasīla hai nabī ke mad.h-ḳhvāñ tum ho
faqat main hi nahin 'ashiq ki meri jaan-e-jaan tum ho
jahan ki hai nazar tum parda mahbub-e-jahan tum ho
tumhaara husn-e-zeba hai bahaar-e-gulshan-e-jannat
KHuda shahid hai us ka hasil-e-bagh-e-jinan tum ho
tumhaare nam-lewa hain sabhi aadam se 'isa tak
samajh mein aa gaya ijad bazm-e-kun-fakan tum ho
jo tum ne jalwa-gah-e-husn aankhon ko banaya hai
ye kaisi parda-dari hai ki phir dil mein nihan tum ho
andhere se hamein marqad ke ai mah-e-'arab kya Dar
ujala hi ujala hai jahan tum ho jahan tum ho
tumhin nur-e-ilahi ho tumhin ho ba'is-e-KHilqat
tumhin se hai zuhur us ka nishan-e-be-nishan tum ho
na aaega wahan to kaam koi yar-o-be-gana
qayamat ke magar hami shafi'-e-'asiyan tum ho
tumhaare dard-e-furqat se bani hai jaan par meri
mara jata hun furqat mein meri ruh-e-rawan tum ho
'abas hai zohd-o-taqwa ki tumhein to fikr ai 'bedil'
yahi kafi wasila hai nabi ke madh-KHwan tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.