tera jalwa hai aankhon mein hai teri justuju mujhko
tirā jalva hai āñkhoñ meñ hai terī justujū mujh ko
tamannā hai tire dil meñ hai terī aarzū mujh ko
nahīñ bhātī chaman meñ aab guloñ kī guftugū mujh ko
nazar aayā na gulshan meñ vafā kā rañg-o-bū mujh ko
nazāra chashm-e-mai-gūñ kā hai mere vāste kaafī
nahīñ darkār ai saaqī tirā jām-o-subū mujh ko
tajallī mehr-e-raḳhshāñ kī ho paidā zarra-zarra meñ
jidhar dekhūñ nazar aa.e ilāhī tū hī tū mujh ko
ye ramz-e-husn-o-ulfat kuchh samajh hī meñ nahīñ aatī
jo hai begāna mujh se hai usī kī aarzū mujh ko
tirī mehrāb-e-abrū meñ azal se sar-ba-sajda huuñ
namāz-e-'ishq kā hai aaj tak taaza vuzū mujh ko
tirā parda tirā parda nahīñ phir kyuuñ chhupā mujh se
nazar aayā dil-o-dīda meñ terā rañg-o-bū mujh ko
sadā-e-tūr kā mushtāq maiñ bhī misl-e-mūsā huuñ
dil-o-jāñ se na kyuuñ pyārī ho terī guftugū mujh ko
hai chāhat kā mazā us meñ mohabbat us ko kahte haiñ
tamannā ho mirī tum ko tumhārī aarzū mujh ko
tire kūche meñ miTnā ḳhaak honā sar-bulandī hai
farishtoñ par milī hai ḳhaak ho kar aabrū mujh ko
tirī teġh-e-nazar ke vaar jab rah rah ke hote haiñ
to phir chāk-e-jigar kī hai 'abas fikr-e-rafū mujh ko
samajh kar tujh ko ham-mashrab pata kī baat kahtā huuñ
fidā hai jis pe tū 'bedil' hai us kī aarzū mujh ko
tera jalwa hai aankhon mein hai teri justuju mujh ko
tamanna hai tere dil mein hai teri aarzu mujh ko
nahin bhati chaman mein aab gulon ki guftugu mujh ko
nazar aaya na gulshan mein wafa ka rang-o-bu mujh ko
nazara chashm-e-mai-gun ka hai mere waste kafi
nahin darkar ai saqi tera jam-o-subu mujh ko
tajalli mehr-e-raKHshan ki ho paida zarra-zarra mein
jidhar dekhun nazar aae ilahi tu hi tu mujh ko
ye ramz-e-husn-o-ulfat kuchh samajh hi mein nahin aati
jo hai begana mujh se hai usi ki aarzu mujh ko
teri mehrab-e-abru mein azal se sar-ba-sajda hun
namaz-e-'ishq ka hai aaj tak taza wuzu mujh ko
tera parda tera parda nahin phir kyun chhupa mujh se
nazar aaya dil-o-dida mein tera rang-o-bu mujh ko
sada-e-tur ka mushtaq main bhi misl-e-musa hun
dil-o-jaan se na kyun pyari ho teri guftugu mujh ko
hai chahat ka maza us mein mohabbat us ko kahte hain
tamanna ho meri tum ko tumhaari aarzu mujh ko
tere kuche mein miTna KHak hona sar-bulandi hai
farishton par mili hai KHak ho kar aabru mujh ko
teri tegh-e-nazar ke war jab rah rah ke hote hain
to phir chaak-e-jigar ki hai 'abas fikr-e-rafu mujh ko
samajh kar tujh ko ham-mashrab pata ki baat kahta hun
fida hai jis pe tu 'bedil' hai us ki aarzu mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.