bhala meri zaban kis tarh banti tarjuman meri
bhalā merī zabāñ kis tarh bantī tarjumāñ merī
tumhārā husn-e-zebā ban gayā sharh-e-bayāñ merī
hadīs-e-'ishq niklī jab khulī ramz-e-nihāñ merī
nahīñ thā qissa-e-majnūñ koī ye dāstāñ merī
'ajab dīd-e-tamāsha hai ki nazroñ meñ bayāñ sab ho
dam-e-nazzāra hairat se banīñ āñkheñ zabāñ merī
ta.ālallāh mirī qismat shahīd-e-nāze-hazrat hoñ
'arūs-e-mahr-e-mayyat par hai kaisī gul-fashāñ merī
ba-vaqt-e-naza.a aa jaa.e nabī ke sāmne sūrat
ilāhī aabrū rah jaa.e vaqt-e-imtihāñ merī
maiñ dil hī dil meñ rotā huuñ yahī sachchī nadāmat hai
nahīñ gosh-e-asam se bhī zarā ūñchī fuġhāñ merī
'ajab dāġh-e-ġham-e-furqat ne dil meñ gul khilā.e haiñ
bahār-e-be-ḳhizāñ se kyuuñ na ho baḌh kar ḳhizāñ merī
vahāñ bhī kaam ban jaa.e ḳhudā-rā aap ke muñh se
banegī dushman-e-jānī jahāñ ḳhud hī zabāñ merī
nikālūñ kis tarah dil se maiñ apnī hasrateñ 'bedil'
mere tābūt-e-armāñ par yahī haiñ nauha-ḳhvāñ merī
bhala meri zaban kis tarh banti tarjuman meri
tumhaara husn-e-zeba ban gaya sharh-e-bayan meri
hadis-e-'ishq nikli jab khuli ramz-e-nihan meri
nahin tha qissa-e-majnun koi ye dastan meri
'ajab did-e-tamasha hai ki nazron mein bayan sab ho
dam-e-nazzara hairat se banin aankhen zaban meri
taalallah meri qismat shahid-e-naze-hazrat hon
'arus-e-mahr-e-mayyat par hai kaisi gul-fashan meri
ba-waqt-e-naza aa jae nabi ke samne surat
ilahi aabru rah jae waqt-e-imtihan meri
main dil hi dil mein rota hun yahi sachchi nadamat hai
nahin gosh-e-asam se bhi zara unchi fughan meri
'ajab dagh-e-gham-e-furqat ne dil mein gul khilae hain
bahaar-e-be-KHizan se kyun na ho baDh kar KHizan meri
wahan bhi kaam ban jae KHuda-ra aap ke munh se
banegi dushman-e-jaani jahan KHud hi zaban meri
nikalun kis tarah dil se main apni hasraten 'bedil'
mere tabut-e-arman par yahi hain nauha-KHwan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.