gar mayassar ruKH-e-pur-nur ka jalwa hota
gar mayassar ruḳh-e-pur-nūr kā jalvā hotā
sadqa ho jaatā fidā hotā maiñ shaidā hotā
dur-e-dandāñ kī mohabbat meñ jo royā hotā
mere ashkoñ pe fidā 'iqd-e-surayyā hotā
baḳht-e-bargashta usī dam merā sīdhā hotā
ik ishārā jo tirī chashm-e-'atā kā hotā
ġham-e-ulfat meñ tire kHuub baraste motī
kaash dil meñ mere bahtā huā dariyā hotā
zulf-e-jānāñ ke liye dil kī haqīqat kyā thī
jaan bhī detā agar jaan pe saudā hotā
daur chalte haiñ tirī bazm meñ aksar saaqī
ek sāġhar kā to mujh ko bhī ishārā hotā
jab.ha-sā.ī jo tere dar kī mayassar hotī
tā.ir-e-baḳht mirā uḌ ke surayyā hotā
mujh ko taiba se jo le jaate farishte sū-e-ḳhuld
aañkh uThā kar na kabhī ḳhuld ko dekhā hotā
'umr-bhar bhūle rahe rahmat-e-haq par 'bedil'
kuchh to tā'at kā bhī mahshar meñ sahārā hotā
gar mayassar ruKH-e-pur-nur ka jalwa hota
sadqa ho jata fida hota main shaida hota
dur-e-dandan ki mohabbat mein jo roya hota
mere ashkon pe fida 'iqd-e-surayya hota
baKHt-e-bargashta usi dam mera sidha hota
ek ishaara jo teri chashm-e-'ata ka hota
gham-e-ulfat mein tere kHub baraste moti
kash dil mein mere bahta hua dariya hota
zulf-e-jaanan ke liye dil ki haqiqat kya thi
jaan bhi deta agar jaan pe sauda hota
daur chalte hain teri bazm mein aksar saqi
ek saghar ka to mujh ko bhi ishaara hota
jabha-sai jo tere dar ki mayassar hoti
tair-e-baKHt mera uD ke surayya hota
mujh ko taiba se jo le jate farishte su-e-KHuld
aankh uTha kar na kabhi KHuld ko dekha hota
'umr-bhar bhule rahe rahmat-e-haq par 'bedil'
kuchh to ta'at ka bhi mahshar mein sahaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.