qatl-gah mein uTh gaya jab chashm-e-qatil ka lihaz
qatl-gah meñ uTh gayā jab chashm-e-qātil kā lihāz
jaan kī parvā kise hai ab kise dil kā lihāz
thā kabhī pahle hameñ bhī zulf-e-qātil kā lihāz
uTh gayā dil se hamāre ab salāsil kā lihāz
jaan kā khaTkā na ġham apnā na kuchh dil kā lihāz
ab balā kartī hai apnī chashm-e-qātil kā lihāz
sāmne majnūñ ke to parda haTā de sārbāñ
bhaaḌ meñ jaaye terī lailā-e-mahmil kā lihāz
vo kareñ bejā sitam ham nāz-bardārī kareñ
kyā kareñ majbūr haiñ hai tab’-e-mā.el kā lihāz
shikva kaisā ho taqāza bhī to kaT jaa.e zabāñ
ham ko ab tak hai tumhāre 'ahd-e-bātil kā lihāz
vaar ḳhālī us kā jaa.e ho gavārā kis tarah
ban gayā qātil hamārā teġh-e-qātil kā lihāz
dekhtā huuñ roz-o-shab us meñ tamāshā yaar kā
ā.īna ko chāhiye karnā mere dil kā lihāz
chashm-e-lailā bhī agar ban jaa.e majnūñ kā ḳhayāl
kuchh na parde kā rahe phir kuchh na mahmil kā lihāz
‘be-dil’-e-kHasta bhalā phir māñgne aa.egā kab
chāhiye ai banda-parvar aise saa.el kā lihāz
qatl-gah mein uTh gaya jab chashm-e-qatil ka lihaz
jaan ki parwa kise hai ab kise dil ka lihaz
tha kabhi pahle hamein bhi zulf-e-qatil ka lihaz
uTh gaya dil se hamare ab salasil ka lihaz
jaan ka khaTka na gham apna na kuchh dil ka lihaz
ab bala karti hai apni chashm-e-qatil ka lihaz
samne majnun ke to parda haTa de sarban
bhaD mein jaye teri laila-e-mahmil ka lihaz
wo karen beja sitam hum naz-bardari karen
kya karen majbur hain hai tab’-e-mael ka lihaz
shikwa kaisa ho taqaza bhi to kaT jae zaban
hum ko ab tak hai tumhaare 'ahd-e-baatil ka lihaz
war KHali us ka jae ho gawara kis tarah
ban gaya qatil hamara tegh-e-qatil ka lihaz
dekhta hun roz-o-shab us mein tamasha yar ka
aaina ko chahiye karna mere dil ka lihaz
chashm-e-laila bhi agar ban jae majnun ka KHayal
kuchh na parde ka rahe phir kuchh na mahmil ka lihaz
‘be-dil’-e-kHasta bhala phir mangne aaega kab
chahiye ai banda-parwar aise sael ka lihaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.