ḳhudā ko yaad kar kyuuñ multajī hai kīmiyā-gar se
ki sonā ḳhaak se hotā hai paidā laa'l patthar se
ġhazab meñ jaan hai har-dam du'ā karatā huuñ dāvar se
mohabbat jaa.e dil se ye balā nikle mire ghar se
mire par bhī asar dekhā ye apnī ashk-bārī kā
bukHārāt-e-zamīñ uTh-uTh ke aksar gor par barse
rulāyā ham ko kyā kiyā be-vafā ne muñh na dikhlāyā
hamārī dīda-e-tar 'umr-bhar dīdār ko tarse
mirā qātil pilā.egā mujhe sharbat shahādat kā
ḳhabar ye kaun laayā hai bharo muñh us kā shakar se
jabīn-e-yār se afshāñ kī dekhī zarra-afshānī
ḳhushī ke phuul jhaḌte haiñ charāġh-e-māh-e-anvar se
na guzre chaar din bhī chain se us kī mohabbat meñ
bahut ro.e bahut piiTe bahut taḌpā bahut tarse
kaTī barsāt 'bahr' is saal bhī fariyād-o-shevan meñ
ḳhabar ham ko nahīñ bādal kidhar aa.e kidhar barse
KHuda ko yaad kar kyun multaji hai kimiya-gar se
ki sona KHak se hota hai paida la'l patthar se
ghazab mein jaan hai har-dam du'a karata hun dawar se
mohabbat jae dil se ye bala nikle mere ghar se
mere par bhi asar dekha ye apni ashk-bari ka
bukHaraat-e-zamin uTh-uTh ke aksar gor par barse
rulaya hum ko kya kiya be-wafa ne munh na dikhlaya
hamari dida-e-tar 'umr-bhar didar ko tarse
mera qatil pilaega mujhe sharbat shahadat ka
KHabar ye kaun laya hai bharo munh us ka shakar se
jabin-e-yar se afshan ki dekhi zarra-afshani
KHushi ke phul jhaDte hain charagh-e-mah-e-anwar se
na guzre chaar din bhi chain se us ki mohabbat mein
bahut roe bahut piTe bahut taDpa bahut tarse
kaTi barsat 'bahr' is sal bhi fariyaad-o-shewan mein
KHabar hum ko nahin baadal kidhar aae kidhar barse
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.