tasavvur hai kisī parda-nashīñ kā
ye 'ālam hai dil-e-andoh-gīñ kā
ye 'aks-e-ruḳh hai kis parda-nashīñ kā
banā hai mahr har zarra zamīñ kā
jabīñ jab se jhukī hai bahr-e-sajda
falak se pochhiye rutba zamīñ kā
ubhar aayā hai phir merā safīna
karam dekho ye mauj-e-tah-nashīñ kā
na laatā taab dīd-e-yār lekin
sahārā hai nigāh-e-avvalīñ kā
dil-e-muztar shikasta ho to kyuuñ kar
makāñ ko paas hai apne makīñ kā
azal se aaj tak hai vaqf-e-sajda
koī ye hausla dekhe jabīñ kā
hijāboñ par bhī ho jaatā hai zāhir
yahī parda to hai parda-nashīñ kā
huā hai jab se dāman pāra-pāra
to aayā hosh ham ko āstīñ kā
hazāroñ rañg ke jalve meñ us meñ
falak hairāñ hai kyā kahnā zamīñ kā
hamārā haal ab abtar hai 'bahzād'
mohabbat ne nahīñ rakkhā kahīñ kā
tasawwur hai kisi parda-nashin ka
ye 'alam hai dil-e-andoh-gin ka
ye 'aks-e-ruKH hai kis parda-nashin ka
bana hai mahr har zarra zamin ka
jabin jab se jhuki hai bahr-e-sajda
falak se pochhiye rutba zamin ka
ubhar aaya hai phir mera safina
karam dekho ye mauj-e-tah-nashin ka
na lata tab did-e-yar lekin
sahaara hai nigah-e-awwalin ka
dil-e-muztar shikasta ho to kyun kar
makan ko pas hai apne makin ka
azal se aaj tak hai waqf-e-sajda
koi ye hausla dekhe jabin ka
hijabon par bhi ho jata hai zahir
yahi parda to hai parda-nashin ka
hua hai jab se daman para-para
to aaya hosh hum ko aastin ka
hazaron rang ke jalwe mein us mein
falak hairan hai kya kahna zamin ka
hamara haal ab abtar hai 'bahzad'
mohabbat ne nahin rakkha kahin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.