kyā pūchhte ho jalva-numā ho sabhī meñ tum
phūloñ meñ tum ho ġhunchoñ meñ tum ho kalī meñ tum
har saañs ik payām hai har saañs ik salām
shāyad ki mil ga.e ho merī zindagī meñ tum
aisī pilā.ī hosh meñ aanā muhāl hai
har samt aa rahe ho nazar be-ḳhudī meñ tum
phīkā dikhā.ī dene lagā rañg-e-māhtāb
nikle ho sair-e-bāġh ko kyuuñ chāñdnī meñ tum
mujh ko miTā ke chain na pāoge hashr tak
mere malāl ko to na bhūlo ḳhushī meñ tum
saarī tajalliyāñ haiñ tumhārī hī chaar sū
zulmat meñ tum ho nuur meñ tum raushnī meñ tum
chehra utar gayā mere huzn-o-malāl kā
bin kar ḳhushī jo aa.e merī zindagī meñ tum
har riñd kyuuñ na mast sharāb-e-vafā rahe
sāġhar meñ tum ho mai meñ ho tum mai-kahsī meñ tum
sajdoñ meñ tum ho ashkoñ meñ tum aah meñ tumhīñ
'bahzād' batlā kī ho har bandagī meñ tum
kya puchhte ho jalwa-numa ho sabhi mein tum
phulon mein tum ho ghunchon mein tum ho kali mein tum
har sans ek payam hai har sans ek salam
shayad ki mil gae ho meri zindagi mein tum
aisi pilai hosh mein aana muhaal hai
har samt aa rahe ho nazar be-KHudi mein tum
phika dikhai dene laga rang-e-mahtab
nikle ho sair-e-bagh ko kyun chandni mein tum
mujh ko miTa ke chain na paoge hashr tak
mere malal ko to na bhulo KHushi mein tum
sari tajalliyan hain tumhaari hi chaar su
zulmat mein tum ho nur mein tum raushni mein tum
chehra utar gaya mere huzn-o-malal ka
bin kar KHushi jo aae meri zindagi mein tum
har rind kyun na mast sharab-e-wafa rahe
saghar mein tum ho mai mein ho tum mai-kahsi mein tum
sajdon mein tum ho ashkon mein tum aah mein tumhin
'bahzad' batla ki ho har bandagi mein tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.