husn kī zid se ġhamoñ ko jāvedāñ karnā paḌā
apne 'ālam ko bahār-e-be-ḳhizāñ karnā paḌā
mai-kade meñ ehtirām-e-mai-kashāñ karnā paḌā
dil jahāñ jhūmā thā ik sajda vahāñ karnā paḌā
terī ḳhātir ye nigāh-e-dil-sitāñ karnā paḌā
kHaar ġhunchoñ ko bahāroñ ko ḳhizāñ karnā paḌā
apnī had se baḌh chalā jab kuchh niyāz-e-bandagī
ek sajda be-qiyām-e-āstāñ karnā paḌā
un kā andāz-e-taḳhātub ke tasadduq jā.iye
apne ashkoñ ko bhī zeb-e-dāstāñ karnā paḌā
jab gul-o-bulbul meñ kuchh thoḌī sī chashmak ho chalī
patta-patta ko chaman ke ham-zabāñ karnā paḌā
merī ḳhāmoshī ko jab tarz-e-kalām aane lagā
un kī mahfil meñ zabāñ ko be-zabāñ karnā paḌā
fasl-e-gul meñ ye ḳhayāl aatā hai aksar bār-bār
apne hī dāman ko ḳhud kyuuñ dhajjiyāñ karnā paḌā
'ishq kā e'jāz ai 'bahzād' muztar kyā kahūñ
beshtar mujh ko zamīñ kā āsmāñ karnā paḌā
husn ki zid se ghamon ko jawedan karna paDa
apne 'alam ko bahaar-e-be-KHizan karna paDa
mai-kade mein ehtiram-e-mai-kashan karna paDa
dil jahan jhuma tha ek sajda wahan karna paDa
teri KHatir ye nigah-e-dil-sitan karna paDa
kHar ghunchon ko bahaaron ko KHizan karna paDa
apni had se baDh chala jab kuchh niyaz-e-bandagi
ek sajda be-qiyam-e-astan karna paDa
un ka andaz-e-taKHatub ke tasadduq jaiye
apne ashkon ko bhi zeb-e-dastan karna paDa
jab gul-o-bulbul mein kuchh thoDi si chashmak ho chali
patta-patta ko chaman ke ham-zaban karna paDa
meri KHamoshi ko jab tarz-e-kalam aane laga
un ki mahfil mein zaban ko be-zaban karna paDa
fasl-e-gul mein ye KHayal aata hai aksar bar-bar
apne hi daman ko KHud kyun dhajjiyan karna paDa
'ishq ka e'jaz ai 'bahzad' muztar kya kahun
beshtar mujh ko zamin ka aasman karna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.