phir merī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
phir fazā par abr se kuchh chhā aa ga.e
allāh-allāh un kā altāf-o-karam
jāte-jāte kuchh mujhe samjhā ga.e
vo na samjhe merī ulfat kī hadeñ
us mirī duniyā se dhokā khā ga.e
kuchh merī āñkhoñ meñ aañsū rah ga.e
kuchh mere dāman pe aañsū aa ga.e
mehr bhī un kī jafā se kam nahīñ
aa.e to lekin mujhe taḌpā ga.e
rāh-e-ġham meñ aise bhī rahrav haiñ jo
rahbaroñ ko rāsta batlā ga.e
zindagī be-kaif ho kar rah ga.ī
ham mohabbat kā natīja pā ga.e
un ke jalvoñ ke tasadduq jā.iye
phir nigāh-e-shauq ko taḌpā ga.e
ho ga.e rag-rag meñ vo jalva-kunāñ
aaj ham 'bahzād' un ko pā ga.e
phir meri aankhon mein aansu aa gae
phir faza par abr se kuchh chha aa gae
allah-allah un ka altaf-o-karam
jate-jate kuchh mujhe samjha gae
wo na samjhe meri ulfat ki haden
us meri duniya se dhoka kha gae
kuchh meri aankhon mein aansu rah gae
kuchh mere daman pe aansu aa gae
mehr bhi un ki jafa se kam nahin
aae to lekin mujhe taDpa gae
rah-e-gham mein aise bhi rahraw hain jo
rahbaron ko rasta batla gae
zindagi be-kaif ho kar rah gai
hum mohabbat ka natija pa gae
un ke jalwon ke tasadduq jaiye
phir nigah-e-shauq ko taDpa gae
ho gae rag-rag mein wo jalwa-kunan
aaj hum 'bahzad' un ko pa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.