ġham ko dushman dard ko nā-mehrbāñ samjhā thā maiñ
haaye kun uThtī bahāroñ ko ḳhizāñ samjhā thā maiñ
ek hī sāġhar ne mujh par ye haqīqat khol dī
vo bhī mai-kash thā jise pīr-e-muġhāñ samjhā thā maiñ
sunñe vāloñ kī ḳhatā kyā thī na samjhā gar koī
ḳhud baḌī mushkil se apnī dāstāñ samjhā thā maiñ
haaye vo niklā merī chashm-e-tamannā kā sarāb
duur se jis ko ġhubār-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
mujh ko miltā bhī to kis 'unvāñ se lutf-e-bandagī
sajde ko pāband-e-sañg-e-āstāñ samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī āshiyāñ kī zad meñ haiñ ḳhud bijliyāñ
bijliyoñ kī zad meñ apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
hasratoñ kā thā janāza ārzūoñ kā mazār
haaye vo qatra jise ashk-e-ravāñ samjhā thā meñ
ek hī markaz pe the nāz-o-niyāz-e-’āshiqī
un ke qisse ko bhī apnī dāstān samjhā thā maiñ
ḳhatm hotī kis tarah 'bahzād' merī rah-ravī
rah-guzar thī jis ko manzil kā nishāñ samjhā thā maiñ
gham ko dushman dard ko na-mehrban samjha tha main
haye kun uThti bahaaron ko KHizan samjha tha main
ek hi saghar ne mujh par ye haqiqat khol di
wo bhi mai-kash tha jise pir-e-mughan samjha tha main
sunne walon ki KHata kya thi na samjha gar koi
KHud baDi mushkil se apni dastan samjha tha main
haye wo nikla meri chashm-e-tamanna ka sarab
dur se jis ko ghubar-e-karwan samjha tha main
mujh ko milta bhi to kis 'unwan se lutf-e-bandagi
sajde ko paband-e-sang-e-astan samjha tha main
kya KHabar thi aashiyan ki zad mein hain KHud bijliyan
bijliyon ki zad mein apna aashiyan samjha tha main
hasraton ka tha janaza aarzuon ka mazar
haye wo qatra jise ashk-e-rawan samjha tha mein
ek hi markaz pe the naz-o-niyaz-e-’ashiqi
un ke qisse ko bhi apni dastan samjha tha main
KHatm hoti kis tarah 'bahzad' meri rah-rawi
rah-guzar thi jis ko manzil ka nishan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.