unheñ pā ke bhī chain hāsil nahīñ hai
musībat hai pahlū meñ ye dil nahīñ hai
hai dushvār-tar sajda-e-shauq karnā
jabīñ kah rahī hai ki mushkil nahīñ hai
kareñ kyā ye dīvān-gān-e-mohabbat
sabhī kuchh hai hāsil magar dil nahīñ hai
mujhe dekh kar muskurā dene vaale
tamannā kā merī ye hāsil nahīñ hai
nasheb-o-farāz-e-alam kyā batā.ūñ
vo tūfāñ nahīñ hai ye sāhil nahīñ hai
abhī to na ā.eñge vo bin bulā.e
abhī jazba-e-shauq-e-kāmil nahīñ hai
zarā dekh leñ kaasa dar-dast mujh ko
jo kahte haiñ 'bahzād' saa.il nahīñ hai
unhen pa ke bhi chain hasil nahin hai
musibat hai pahlu mein ye dil nahin hai
hai dushwar-tar sajda-e-shauq karna
jabin kah rahi hai ki mushkil nahin hai
karen kya ye diwan-gan-e-mohabbat
sabhi kuchh hai hasil magar dil nahin hai
mujhe dekh kar muskura dene wale
tamanna ka meri ye hasil nahin hai
nasheb-o-faraaz-e-alam kya bataun
wo tufan nahin hai ye sahil nahin hai
abhi to na aaenge wo bin bulae
abhi jazba-e-shauq-e-kaamil nahin hai
zara dekh len kasa dar-dast mujh ko
jo kahte hain 'bahzad' sail nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.