bhalā qadr-e-nigāh-e-nāz-e-jānāñ kaun samjhegā
usī ko bā’is-e-taskīn-e-īmāñ kaun samjhegā
bahut se haiñ yahāñ par ḳhūn-e-hasrat dekhne vaale
mire dil ko charāġh-e-rāh-e-irfāñ kaun samjhegā
yahī do chaar haiñ jin ko mohabbat ne navāzā hai
jafā-e-dost ko duniyā meñ ehsāñ kaun samjhegā
yahāñ ḳhvāb-e-subuk ke dekhne vaale hī baste haiñ
jahāñ meñ mā’nī-e-kHvāb-e-pareshāñ kaun samjhegā
bahār aate hī ai dast-e-junūñ tū ne ġhazab Dhāyā
ki maiñ purze hī purze un ko dāmāñ kaun samjhegā
jo mere dil se khiñch kar aañkh tak aayā hai ik aañsū
ḳhudā jaane ki us qatra ko tūfāñ kaun samjhegā
ba-juz saaqī ke ai 'bahzād' nā-vāqif hai kul 'ālam
mere ashkoñ ko bhī mastī kā 'unvāñ kaun samjhegā
bhala qadr-e-nigah-e-naz-e-jaanan kaun samjhega
usi ko ba’is-e-taskin-e-iman kaun samjhega
bahut se hain yahan par KHun-e-hasrat dekhne wale
mere dil ko charagh-e-rah-e-irfan kaun samjhega
yahi do chaar hain jin ko mohabbat ne nawaza hai
jafa-e-dost ko duniya mein ehsan kaun samjhega
yahan KHwab-e-subuk ke dekhne wale hi baste hain
jahan mein ma’ni-e-kHwab-e-pareshan kaun samjhega
bahaar aate hi ai dast-e-junun tu ne ghazab Dhaya
ki main purze hi purze un ko daman kaun samjhega
jo mere dil se khinch kar aankh tak aaya hai ek aansu
KHuda jaane ki us qatra ko tufan kaun samjhega
ba-juz saqi ke ai 'bahzad' na-waqif hai kul 'alam
mere ashkon ko bhi masti ka 'unwan kaun samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.