haram meñ dair meñ kyuuñ be-haqīqat chār-sū hotī
javāñ qadmoñ pe jhuk jaatī jabīñ to aabrū hotī
adab nā-āshnā girya zabān-e-ārzū hotī
to phir bāteñ hī bāteñ guftugū hī guftugū hotī
agar us kī ḳhabar hotī hameñ ham haiñ zamāne meñ
to ham kyuuñ justujū karte hamārī justujū hotī
mohabbat ai mohabbat ye 'ināyat un kī hai varna
na dil hotā na ġham hotā na ham hote na tū hotī
agar ham pā-e-sāqī par na karte sajda-e-mastī
to ye mastī hamārī hāsil-e-jām-o-subū hotī
agar maiñ kaam le letā zarā zor-e-tasavvur se
to vo sūrat vo jalva vo tajallī rū-ba-rū hotī
kisī kī chashm-e-nāzuk gar ishāra ḳhud na farmātī
to kyuuñ bahzād muztar ko majāl aarzū hotī
haram mein dair mein kyun be-haqiqat chaar-su hoti
jawan qadmon pe jhuk jati jabin to aabru hoti
adab na-ashna girya zaban-e-arzu hoti
to phir baaten hi baaten guftugu hi guftugu hoti
agar us ki KHabar hoti hamein hum hain zamane mein
to hum kyun justuju karte hamari justuju hoti
mohabbat ai mohabbat ye 'inayat un ki hai warna
na dil hota na gham hota na hum hote na tu hoti
agar hum pa-e-saqi par na karte sajda-e-masti
to ye masti hamari hasil-e-jam-o-subu hoti
agar main kaam le leta zara zor-e-tasawwur se
to wo surat wo jalwa wo tajalli ru-ba-ru hoti
kisi ki chashm-e-nazuk gar ishaara KHud na farmati
to kyun bahzad muztar ko majal aarzu hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.