mere chaman meñ ġhamoñ kī bahār kyuuñ na rahī
'ajīb shai thī shab-e-intizār kyuuñ na rahī
jhukī-jhukī nazar aatī hai chashm-e-jalva talab
nazar ko hasrat-e-dīdār-e-yār kyuuñ na rahī
hai māñad-māñad se taare bhī aur zarre bhī
vo dil-farebī-e-lail-o-nahār kyuuñ na rahī
lahū kā naam bhī ashkoñ meñ ab nahīñ baaqī
vo dil-kashī-e-dil-e-dāġh-dār kyuuñ na rahī
na lab pe nāra-e-mastāna hai na nāla-e-shauq
vo mastī-e-dil-e-dīvāna-vār kyuuñ na rahī
kahāñ gayā mirā zauq-e-sujūd-o-shauq-e-talab
vo bandagī-e-dar-o-bām-e-yār kyuuñ na rahī
sukūñ milā hai to 'bahzād' sochtā huuñ maiñ
vo mujh pe rahmat-e-parvardigār kyuuñ na rahī
mere chaman mein ghamon ki bahaar kyun na rahi
'ajib shai thi shab-e-intizar kyun na rahi
jhuki-jhuki nazar aati hai chashm-e-jalwa talab
nazar ko hasrat-e-didar-e-yar kyun na rahi
hai manad-manad se tare bhi aur zarre bhi
wo dil-farebi-e-lail-o-nahaar kyun na rahi
lahu ka nam bhi ashkon mein ab nahin baqi
wo dil-kashi-e-dil-e-dagh-dar kyun na rahi
na lab pe nara-e-mastana hai na nala-e-shauq
wo masti-e-dil-e-diwana-war kyun na rahi
kahan gaya mera zauq-e-sujud-o-shauq-e-talab
wo bandagi-e-dar-o-baam-e-yar kyun na rahi
sukun mila hai to 'bahzad' sochta hun main
wo mujh pe rahmat-e-parwardigar kyun na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.