āshnā ban kar koī nā-āshnā hone lagā
is tarah puurā muqaddar kā likhā hone lagā
mīr-e-mastī ne ulaT dī kyuuñ bisāt-e-mai-kada
ai mere saaqī ye mai-ḳhāne meñ kyā hone lagā
ek vo jalva jo nazroñ meñ basā aur rah gayā
ek vo jalva jo nazroñ se judā hone lagā
baḌhte-baḌhte āstān-e-yār tak pahuñchī jabīñ
ghaT.te-ghaT.te phir sujūd-e-naqsh-e-pā hone lagā
ek vo din thā ki pinhāñ thā jamāl-e-rū-e-dost
ek ye din hai ki nazroñ se gilā hone lagā
āḳhirash rahtā kahāñ tak shām-e-'ishrat kā fareb
sub.h kā taarā haqīqat āshnā hone lagā
phir nigāh-e-nāz ai 'bahzād' uThī merī taraf
phir nigāh-e-shauq ko kuchh hausla hone lagā
aashna ban kar koi na-ashna hone laga
is tarah pura muqaddar ka likha hone laga
mir-e-masti ne ulaT di kyun bisat-e-mai-kada
ai mere saqi ye mai-KHane mein kya hone laga
ek wo jalwa jo nazron mein basa aur rah gaya
ek wo jalwa jo nazron se juda hone laga
baDhte-baDhte aastan-e-yar tak pahunchi jabin
ghaTte-ghaTte phir sujud-e-naqsh-e-pa hone laga
ek wo din tha ki pinhan tha jamal-e-ru-e-dost
ek ye din hai ki nazron se gila hone laga
aaKHirash rahta kahan tak sham-e-'ishrat ka fareb
subh ka tara haqiqat aashna hone laga
phir nigah-e-naz ai 'bahzad' uThi meri taraf
phir nigah-e-shauq ko kuchh hausla hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.