tire malāl se vo rāh-o-rasm kyuuñ na rahī
laboñ pe aah vo pahlī sī aah kyuuñ na rahī
tire sitam se baḌā mutma.in thā qalb-e-hazīñ
vo lazzat-e-karam-e-gāh gaah kyuuñ na rahī
jise bhī dekhiye ik zer-e-lab tabassum hai
mire ġhamoñ kī ye duniyā gavāh kyuuñ na rahī
ye kis ne aake ulaT dī bisāt-e-dard-o-alam
ye zindagī merī ākHir tabāh kyuuñ na rahī
sujūd-e-'ishq sujūd-e-vafā sujūd-e-ḳhayāl
ye zindagī bhī ba-nām-e-gunāh kyuuñ na rahī
hazār baar to aa.e the vajd meñ kaunain
jo jān-e-naġhma thī lab par vo aah kyuuñ na rahī
ye kaisā nūr-e-masarrat chamak uThā 'bahzād'
ġhazab huā terī duniyā tabāh kyuuñ na rahī
tere malal se wo rah-o-rasm kyun na rahi
labon pe aah wo pahli si aah kyun na rahi
tere sitam se baDa mutmain tha qalb-e-hazin
wo lazzat-e-karam-e-gah gah kyun na rahi
jise bhi dekhiye ek zer-e-lab tabassum hai
mere ghamon ki ye duniya gawah kyun na rahi
ye kis ne aake ulaT di bisat-e-dard-o-alam
ye zindagi meri aakHir tabah kyun na rahi
sujud-e-'ishq sujud-e-wafa sujud-e-KHayal
ye zindagi bhi ba-nam-e-gunah kyun na rahi
hazar bar to aae the wajd mein kaunain
jo jaan-e-naghma thi lab par wo aah kyun na rahi
ye kaisa nur-e-masarrat chamak uTha 'bahzad'
ghazab hua teri duniya tabah kyun na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.