bebāk nigāhī kyā karte ġhairat ko gavārā ho na sakā
jalve to kisī ke har sū thī ham se hai nazārā ho na sakā
jiite bhī to ham kyuuñ kar jiite jiine kā sahārā na ho sakā
chhup-chhup ke bhī un se mil lenā qismat ko gavārā ho na sakā
jo ashk bahe the furqat meñ kaunain pe bhārī ho ke rahe
ik ashk bhī shabnam ban na sakā ik ashk bhī taarā ho na sakā
hairāñ huuñ ki ye kyā baat huī sāhil se lagī aakar kashtī
maujeñ bhī hamārī ho na sakīñ tūfāñ bhī hamārā ho na sakā
taqdīr ne baḳhshā thā vo ġham jis se huā ġhārat ḳhud kā bharam
āñkhoñ se gire do ashk-e-alam jab zabt kā yaarā ho na sakā
ye aaj fazā ḳhāmosh hai kyuuñ har zarra ko ākHir hosh hai kyuuñ
yā tum hī kisī ke na ho sake yā koī tumhārā ho na sakā
'bahzād' hazīñ hai sajda-kunāñ majbūr-e-vafā-e-qalb-e-tapāñ
duniyā se kinārā kar to liyā us dar se kinārā kar na sakā
bebak nigahi kya karte ghairat ko gawara ho na saka
jalwe to kisi ke har su thi hum se hai nazara ho na saka
jite bhi to hum kyun kar jite jine ka sahaara na ho saka
chhup-chhup ke bhi un se mil lena qismat ko gawara ho na saka
jo ashk bahe the furqat mein kaunain pe bhaari ho ke rahe
ek ashk bhi shabnam ban na saka ek ashk bhi tara ho na saka
hairan hun ki ye kya baat hui sahil se lagi aakar kashti
maujen bhi hamari ho na sakin tufan bhi hamara ho na saka
taqdir ne baKHsha tha wo gham jis se hua ghaarat KHud ka bharam
aankhon se gire do ashk-e-alam jab zabt ka yara ho na saka
ye aaj faza KHamosh hai kyun har zarra ko aakHir hosh hai kyun
ya tum hi kisi ke na ho sake ya koi tumhaara ho na saka
'bahzad' hazin hai sajda-kunan majbur-e-wafa-e-qalb-e-tapan
duniya se kinara kar to liya us dar se kinara kar na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.