terī nazroñ meñ mohabbat kā hai tūfāñ saaqī
tujh pe sadqe merī duniyā merā īmāñ saaqī
pai-ba-pai jaam jo karatā hai atā rindoñ ko
lutf pe lutf hai ehsāñ pe hai ehsāñ saaqī
tujh ko kyā dekh kyā sub.h-e-tajallī dekhī
dil ke 'ālam kā hai allāh nigahbāñ saaqī
ab to ye haal hai ik saada varaq ho jaise
koī hasrat hai na ḳhvāhish hai na armāñ saaqī
jaam uThātā huuñ to mai miltī hai labrez mujhe
apne 'ālam ne kiyā hai mujhe hairāñ saaqī
aur rindoñ ko 'atā kar mai-o-sahbā-o-subū
mujh ko kaafī hai terā gosha-e-dāmāñ saaqī
is taraf bhī to kabhī ho terī kāfir nazarī
aaj 'bahzād' ko bhī kar de musalmāñ saaqī
teri nazron mein mohabbat ka hai tufan saqi
tujh pe sadqe meri duniya mera iman saqi
pai-ba-pai jam jo karata hai ata rindon ko
lutf pe lutf hai ehsan pe hai ehsan saqi
tujh ko kya dekh kya subh-e-tajalli dekhi
dil ke 'alam ka hai allah nigahban saqi
ab to ye haal hai ek sada waraq ho jaise
koi hasrat hai na KHwahish hai na arman saqi
jam uThata hun to mai milti hai labrez mujhe
apne 'alam ne kiya hai mujhe hairan saqi
aur rindon ko 'ata kar mai-o-sahba-o-subu
mujh ko kafi hai tera gosha-e-daman saqi
is taraf bhi to kabhi ho teri kafir nazari
aaj 'bahzad' ko bhi kar de musalman saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.