lo mubārak vaqt-e-shām aane lagā
dil ko kaif-e-nā-tamām aane lagā
tauba jab se maiñ ne kar lī mai-kasho
ḳhud merī jānib ko jaam aane lagā
un ke lab par ye haqīqat hai ki ḳhvāb
merā qissa merā naam aane lagā
āñkhoñ-āñkhoñ meñ huī kul dāstāñ
nazroñ-nazroñ meñ payām aane lagā
phir uThā abr-e-siyah msatānā-vār
phir koī baada ba-jām aane lagā
kis se ummīd-e-vafā rakkhūñ bhalā
bebasī meñ kaun kaam aane lagā
ab chalo 'bahzād' phir sū-e-vatan
ḳhat meñ likh-likh kar salām aane lagā
lo mubarak waqt-e-sham aane laga
dil ko kaif-e-na-tamam aane laga
tauba jab se main ne kar li mai-kasho
KHud meri jaanib ko jam aane laga
un ke lab par ye haqiqat hai ki KHwab
mera qissa mera nam aane laga
aankhon-ankhon mein hui kul dastan
nazron-nazron mein payam aane laga
phir uTha abr-e-siyah msatana-war
phir koi baada ba-jam aane laga
kis se ummid-e-wafa rakkhun bhala
bebasi mein kaun kaam aane laga
ab chalo 'bahzad' phir su-e-watan
KHat mein likh-likh kar salam aane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.