us kā hī zikr har dam us kī hī guftugū hai
gum ho ke rah gayā huuñ ye lutf-e-justujū hai
us jā pe kaam kiyā hai ālām-e-zindagī kā
jis jā pe maiñ hī maiñ huuñ jis jā pe tū hī tū hai
un bulbuloñ ko dekho un kā fareb dekho
phūloñ kā hai bahāna kāñToñ kī aarzū hai
us kī ḳhabar ḳhabar hai us kā jigar jigar hai
us kī nazar nazar hai jis kī nazar meñ tū hai
hai be-niyāz-e-mastī maanā ki zarf merā
ai be-ḳhudī tū aajā saaqī kī aarzū hai
merī namāz-e-ulfat kā Dhañg hai nirālā
ik sajda terī jānib har sajda qibla-rū hai
'bahzād' haal merā kyā riñd pūchhte haiñ
maiñ to huuñ us kā mai-kash jis kī nazar subū hai
us ka hi zikr har dam us ki hi guftugu hai
gum ho ke rah gaya hun ye lutf-e-justuju hai
us ja pe kaam kiya hai aalam-e-zindagi ka
jis ja pe main hi main hun jis ja pe tu hi tu hai
un bulbulon ko dekho un ka fareb dekho
phulon ka hai bahana kanTon ki aarzu hai
us ki KHabar KHabar hai us ka jigar jigar hai
us ki nazar nazar hai jis ki nazar mein tu hai
hai be-niyaz-e-masti mana ki zarf mera
ai be-KHudi tu aaja saqi ki aarzu hai
meri namaz-e-ulfat ka Dhang hai nirala
ek sajda teri jaanib har sajda qibla-ru hai
'bahzad' haal mera kya rind puchhte hain
main to hun us ka mai-kash jis ki nazar subu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.