rahā go merī zabāñ tak mirā ġham bharā afsāna
magar us ko kyā karūñ maiñ ki sunā kyā zamāna
merā kā'ba-e-mohabbat hai terā hī āstāna
terī rah-guzar meñ gum hai mirā jazb-e-’ārifāna
mere zauq kī kahānī mire shauq kā fasāna
ye durūd-e-sub.h-gāhī ye namāz-e-panj-gāna
na to lab pe koī nauha na zabāñ pe hai tarāna
merā 'ālam-e-mohabbat na samajh sakā zamāna
ye sadā-e-be-sadā.ī ye zabān-e-be-zabānī
kabhī ban ga.ī ḳhamoshī kabhī kah ga.ī fasāna
ye fazā hai aaj kaisī ki hai chaar sū udāsī
ye badal gayā huuñ maiñ hī kī badal gayā zamāna
rahe tā-abad salāmat rahe ta-ba-hashr āmīñ
mirā rañg-e-be-navā.ī terī shān-e-ḳhusravāna
raha go meri zaban tak mera gham bhara afsana
magar us ko kya karun main ki suna kya zamana
mera ka'ba-e-mohabbat hai tera hi aastana
teri rah-guzar mein gum hai mera jazb-e-’arifana
mere zauq ki kahani mere shauq ka fasana
ye durud-e-subh-gahi ye namaz-e-panj-gana
na to lab pe koi nauha na zaban pe hai tarana
mera 'alam-e-mohabbat na samajh saka zamana
ye sada-e-be-sadai ye zaban-e-be-zabani
kabhi ban gai KHamoshi kabhi kah gai fasana
ye faza hai aaj kaisi ki hai chaar su udasi
ye badal gaya hun main hi ki badal gaya zamana
rahe ta-abad salamat rahe ta-ba-hashr aamin
mera rang-e-be-nawai teri shan-e-KHusrawana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.