tavassul hai na furqat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
mohabbat hī mohabbat hai jahāñ tum ho jahāñ meñ huuñ
bhalā samjhegī kyā duniyā niyāz-o-nāz kā 'ālam
'ibādat hī 'ibādat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
fazā ḳhāmosh hai sākit havā hai ho kā 'ālam hai
fuġhāñ bhī ik musībat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
bahut mushkil hai saudā jins-e-bāzār-e-mohabbat kā
mohabbat dil kī qīmat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
latāfat baar hai us jā nazākat hai garāñ us jā
vahāñ ik dam ġhanīmat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
vahāñ ik be-ḳhudī kā daur hai aur daur bhī kāmil
masarrat hai na kulfat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
na vasl-o-hijr ke jhagḌe na zauq-o-shauq kā 'ālam
kise kis kī zarūrat hai jahāñ tum ho jahāñ maiñ huuñ
tawassul hai na furqat hai jahan tum ho jahan main hun
mohabbat hi mohabbat hai jahan tum ho jahan mein hun
bhala samjhegi kya duniya niyaz-o-naz ka 'alam
'ibaadat hi 'ibaadat hai jahan tum ho jahan main hun
faza KHamosh hai sakit hawa hai ho ka 'alam hai
fughan bhi ek musibat hai jahan tum ho jahan main hun
bahut mushkil hai sauda jins-e-bazar-e-mohabbat ka
mohabbat dil ki qimat hai jahan tum ho jahan main hun
latafat bar hai us ja nazakat hai garan us ja
wahan ek dam ghanimat hai jahan tum ho jahan main hun
wahan ek be-KHudi ka daur hai aur daur bhi kaamil
masarrat hai na kulfat hai jahan tum ho jahan main hun
na wasl-o-hijr ke jhagDe na zauq-o-shauq ka 'alam
kise kis ki zarurat hai jahan tum ho jahan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.