ghaTā phir sar mai-kada aa ke chhā.ī
duhā.ī duhā.ī duhā.ī duhā.ī
ġhamoñ se jo ghabrā ke khīñchī duhā.ī
chaman muskurāyā kalī muskurā.ī
mubārak rahe mujh ko har dam taḌapnā
salāmat raho tum nazar kyuuñ firā.ī
kisī din to sun lo hamārā fasāna
ye achchhī nahīñ roz kī kaj-adā.ī
vahī merā 'ālam vahī terā 'ālam
vahī haiñ fazā.eñ vahī hai ḳhudā.ī
ḳhayālāt uljhe qadam Dagmagā.e
kahīñ rāste meñ jo manzil na aa.ī
zamāne se begāna dil ho rahā hai
ye kis but ne luuTī ḳhudā kī ḳhudā.ī
ye kaun aa gayā ham pe bedād karne
ye kis ne hamārī vafā āzmā.ī
taḌapnā hai 'bahzād' qismat meñ likkhā
mohabbat ne luuTī sukūñ kī ḳhudā.ī
ghaTa phir sar mai-kada aa ke chhai
duhai duhai duhai duhai
ghamon se jo ghabra ke khinchi duhai
chaman muskuraya kali muskurai
mubarak rahe mujh ko har dam taDapna
salamat raho tum nazar kyun firai
kisi din to sun lo hamara fasana
ye achchhi nahin roz ki kaj-adai
wahi mera 'alam wahi tera 'alam
wahi hain fazaen wahi hai KHudai
KHayalat uljhe qadam Dagmagae
kahin raste mein jo manzil na aai
zamane se begana dil ho raha hai
ye kis but ne luTi KHuda ki KHudai
ye kaun aa gaya hum pe bedad karne
ye kis ne hamari wafa aazmai
taDapna hai 'bahzad' qismat mein likkha
mohabbat ne luTi sukun ki KHudai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.