ik sitam-gar ko pyaar kaun kare
ziist ko be-qarār kaun kare
jab ki suntā nahīñ koī fariyād
phir fuġhāñ bār-bār kaun kare
ġham sahe kaun us kī furqat meñ
jabr ko iḳhtiyār kaun kare
kyā ḳhabar ye bhī pher le āñkheñ
dard kā e'tibār kaun kare
kahīñ 'ādat na dil ko ho jaa.e
aap kā intizār kaun kare
sunñe vaalā hī jab nahīñ koī
zikr-e-sub.h-e-bahār kaun kare
jin ko saaqī ne kar diyā be-ḳhud
ab unheñ hoshiyār kaun kare
ab kise apnī jaan dūbhar hai
husn vāloñ ko pyaar kaun kare
ham to apne meñ kho ga.e 'bahzād'
sajda ik samt-e-yār kaun kare
ek sitam-gar ko pyar kaun kare
zist ko be-qarar kaun kare
jab ki sunta nahin koi fariyaad
phir fughan bar-bar kaun kare
gham sahe kaun us ki furqat mein
jabr ko iKHtiyar kaun kare
kya KHabar ye bhi pher le aankhen
dard ka e'tibar kaun kare
kahin 'adat na dil ko ho jae
aap ka intizar kaun kare
sunne wala hi jab nahin koi
zikr-e-subh-e-bahaar kaun kare
jin ko saqi ne kar diya be-KHud
ab unhen hoshiyar kaun kare
ab kise apni jaan dubhar hai
husn walon ko pyar kaun kare
hum to apne mein kho gae 'bahzad'
sajda ek samt-e-yar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.