'ālam-e-qalb-e-nā-tavāñ na suno
na suno ġham kī dāstāñ na suno
tum karam ke evaz karoge sitam
hāl-e-dil ban ke mehrbāñ na suno
rāh-e-dushvār-e-'ishq are tauba
luT gayā dil kā kārvāñ na suno
dil-e-nāzuk ko Thes pahuñchegī
mere naale mirī fuġhāñ na suno
kar diyā sair jitne mai-kash the
'ālam pīr-e-mai-kashāñ na suno
hāl-e-shām-e-alam to sun hī liyā
sub.h aa.ī kahāñ kahāñ na suno
bas samajh lo vahīñ hai vo maujūd
us kī āvāz tum jahāñ na suno
bijliyoñ kī chamak pe ġhaur karo
zikr-e-barbād-e-āshiyāñ na suno
der se muntazir to ho lekin
hāl-e-‘bahzād’ nīm-jāñ na suno
'alam-e-qalb-e-na-tawan na suno
na suno gham ki dastan na suno
tum karam ke ewaz karoge sitam
haal-e-dil ban ke mehrban na suno
rah-e-dushwar-e-'ishq are tauba
luT gaya dil ka karwan na suno
dil-e-nazuk ko Thes pahunchegi
mere nale meri fughan na suno
kar diya sair jitne mai-kash the
'alam pir-e-mai-kashan na suno
haal-e-sham-e-alam to sun hi liya
subh aai kahan kahan na suno
bas samajh lo wahin hai wo maujud
us ki aawaz tum jahan na suno
bijliyon ki chamak pe ghaur karo
zikr-e-barbaad-e-ashiyan na suno
der se muntazir to ho lekin
haal-e-‘bahzad’ nim-jaan na suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.