tū nazar ke sāmne hai terī diid ho rahī hai
mujhe to naved dede merī 'iid ho rahī hai
tujhe ḳhud bhī ye bā-ḳhabar hai terā husn mustatar hai
tujhe kaun dekhtā hai kise diid ho rahī hai
ġham-e-'āshiqī ke maare bhī 'ajīb haiñ bichāre
kabhī ġham manā rahe haiñ kabhī 'iid ho rahī hai
mere zauq-e-sajda ko bhī ġham-e-be-basī ne maarā
vo jo aarzū javāñ thī vo shahīd ho rahī hai
ki nishān-e-be-nishāñ huuñ ki zabān-e-be-zabāñ huuñ
terī yaad meñ jahāñ huuñ merī 'iid ho rahī hai
na nazar meñ taab baaqī na nigah meñ aab baaqī
yahāñ jaañ pe ban rahī hai vahāñ diid ho rahī hai
hai laboñ pe kuchh tabassum kisī haal meñ haiñ vo gum
vo suneñge merā 'ālam ye ummīd ho rahī hai
tu nazar ke samne hai teri did ho rahi hai
mujhe to nawed dede meri 'id ho rahi hai
tujhe KHud bhi ye ba-KHabar hai tera husn mustatar hai
tujhe kaun dekhta hai kise did ho rahi hai
gham-e-'ashiqi ke mare bhi 'ajib hain bichaare
kabhi gham mana rahe hain kabhi 'id ho rahi hai
mere zauq-e-sajda ko bhi gham-e-be-basi ne mara
wo jo aarzu jawan thi wo shahid ho rahi hai
ki nishan-e-be-nishan hun ki zaban-e-be-zaban hun
teri yaad mein jahan hun meri 'id ho rahi hai
na nazar mein tab baqi na nigah mein aab baqi
yahan jaan pe ban rahi hai wahan did ho rahi hai
hai labon pe kuchh tabassum kisi haal mein hain wo gum
wo sunenge mera 'alam ye ummid ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.