vaqf-e-ḳhushī hai saarā zamāna
kaun sunegā ġham kā fasāna
saare jahāñ meñ dekh liyā hai
koī nahīñ hai apnā yagāna
ham se bhī kam nikleñge jahāñ meñ
dil meñ sho'le lab pe tarāna
'ishq muammar husn mu'amma
ba-juz na maujeñ daam na daana
haaye khule kyuuñ ab lab-e-shikva
kis kā bhalā hotā hai zamāna
saarī fazā meñ ġham hī ġham hai
chheḌā hai kis ne ġham kā tarāna
maiñ ne kahī ‘bahzād’-e-haqīqat
sab ne kahā ye to hai fasāna
waqf-e-KHushi hai sara zamana
kaun sunega gham ka fasana
sare jahan mein dekh liya hai
koi nahin hai apna yagana
hum se bhi kam niklenge jahan mein
dil mein sho'le lab pe tarana
'ishq muammar husn mu'amma
ba-juz na maujen dam na dana
haye khule kyun ab lab-e-shikwa
kis ka bhala hota hai zamana
sari faza mein gham hi gham hai
chheDa hai kis ne gham ka tarana
main ne kahi ‘bahzad’-e-haqiqat
sab ne kaha ye to hai fasana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.