pesh-e-nigāh-e-shauq vo sūrat hai āj-kal
duniyā mire ḳhayāl kī jannat hai āj-kal
ik sañg-e-dar ko hai mire sajdoñ kī aarzū
merā nasīb hai mirī qismat hai āj-kal
aisā phañsā huā huuñ fareb-e-ḳhayāl meñ
jaise ki har qadam mujhe hai āj-kal
ḳhushiyāñ kuchh is tarah se 'atā kiiñ karīm ne
kahnā paḌā ki ġham kī zarūrat hai āj-kal
is chashm-e-nāz meñ bhī haiñ aañsū bhare ek
badlā huā nizām-e-mohabbat hai āj-kal
vo chhā ga.e haiñ kaun-o-makāñ par kuchh is tarah
mujh ko har ek zarra se ulfat hai āj-kal
raftār-e-nāz-e-yār ke 'bahzād' maiñ nisār
jis samt dekhtā huuñ qayāmat hai āj-kal
pesh-e-nigah-e-shauq wo surat hai aaj-kal
duniya mere KHayal ki jannat hai aaj-kal
ek sang-e-dar ko hai mere sajdon ki aarzu
mera nasib hai meri qismat hai aaj-kal
aisa phansa hua hun fareb-e-KHayal mein
jaise ki har qadam mujhe hai aaj-kal
KHushiyan kuchh is tarah se 'ata kin karim ne
kahna paDa ki gham ki zarurat hai aaj-kal
is chashm-e-naz mein bhi hain aansu bhare ek
badla hua nizam-e-mohabbat hai aaj-kal
wo chha gae hain kaun-o-makan par kuchh is tarah
mujh ko har ek zarra se ulfat hai aaj-kal
raftar-e-naz-e-yar ke 'bahzad' main nisar
jis samt dekhta hun qayamat hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.