sukūñ nasīb nahīñ the na the qarār ke din
baḌe fareb meñ guzre mire bahār ke din
kahāñ ye raat ke naale kahāñ ye din kī taḌap
kahāñ sukūn kī rāteñ kahāñ qarār ke din
kisī kā rū-e-munavvar hai pesh-e-chashm-o-nigāh
baḌe maze meñ guzarte haiñ intizār kī din
mirī fuġhāñ meñ vo shān-e-kamāl-e-ġham na rahī
ḳhizāñ ke ruup meñ aane lage bahār ke din
jabīn-e-shauq zarā sajda-reziyāñ dikhlā
maza to jab hai ki phir jaa.eñ kū-e-yār kaun
nazar na aa.egā kuchh bhī sivā-e-hadd-e-nazar
nazar kī aabrū jā.egī dīd-e-yār ke din
zamāna kuchh bhī kahe us ko lekin ai 'bahzād'
hameñ to ḳhuun rulāte rahe bahār ke din
sukun nasib nahin the na the qarar ke din
baDe fareb mein guzre mere bahaar ke din
kahan ye raat ke nale kahan ye din ki taDap
kahan sukun ki raaten kahan qarar ke din
kisi ka ru-e-munawwar hai pesh-e-chashm-o-nigah
baDe maze mein guzarte hain intizar ki din
meri fughan mein wo shan-e-kamal-e-gham na rahi
KHizan ke rup mein aane lage bahaar ke din
jabin-e-shauq zara sajda-reziyan dikhla
maza to jab hai ki phir jaen ku-e-yar kaun
nazar na aaega kuchh bhi siwa-e-hadd-e-nazar
nazar ki aabru jaegi did-e-yar ke din
zamana kuchh bhi kahe us ko lekin ai 'bahzad'
hamein to KHun rulate rahe bahaar ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.