be-nishāñ kā koī pata na milā
ham ne DhūñDhā hameñ ḳhudā na milā
ek tum hī na ham ko mil paa.e
varna milne ko ham ko kyā na milā
ham ne saarā jahāñ DhūñDh liyā
koī ḳhush-kām mudda'ā na milā
pur huā merā dāman-e-ummīd
tere sadqe meñ mujh ko kyā na milā
merī kashtī ko mil gayā tūfāñ
merī kashtī ko nā-ḳhudā na milā
liyā rahzan se rahbarī kā kaam
jab hameñ koī rahnumā na milā
un ko 'bahzād' pā liyā jis dam
mujh ko apnā kahīñ pata na milā
be-nishan ka koi pata na mila
hum ne DhunDha hamein KHuda na mila
ek tum hi na hum ko mil pae
warna milne ko hum ko kya na mila
hum ne sara jahan DhunDh liya
koi KHush-kaam mudda'a na mila
pur hua mera daman-e-ummid
tere sadqe mein mujh ko kya na mila
meri kashti ko mil gaya tufan
meri kashti ko na-KHuda na mila
liya rahzan se rahbari ka kaam
jab hamein koi rahnuma na mila
un ko 'bahzad' pa liya jis dam
mujh ko apna kahin pata na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.