tumheñ dil meñ rakkhā hai apnā samajh kar
ġham-e-zindagī kā sahārā samajh kar
bahut din rahī chashm-e-mushtāq hairān
tire 'aks ko terā jalva samajh kar
usī samt hai josh par mauj-e-tūfān
jidhar baḌh rahā huuñ kinārā samajh kar
nigāheñ mirī ai jamāl-e-sarāpā
tujhe dekh letī haiñ apnā samajh kar
baḌhānā paḌā mujh ko dast-e-tamannā
nigāh-e-karam kā ishārā samajh kar
kaho kufr se apnā dāman bachā.e
ki ham ne kiyā hai ye sajda samajh kar
yahī hai dar-e-yār yā manzil dil
yahāñ aa.e 'bahzād' tum kyā samajh kar
tumhein dil mein rakkha hai apna samajh kar
gham-e-zindagi ka sahaara samajh kar
bahut din rahi chashm-e-mushtaq hairan
tere 'aks ko tera jalwa samajh kar
usi samt hai josh par mauj-e-tufan
jidhar baDh raha hun kinara samajh kar
nigahen meri ai jamal-e-sarapa
tujhe dekh leti hain apna samajh kar
baDhana paDa mujh ko dast-e-tamanna
nigah-e-karam ka ishaara samajh kar
kaho kufr se apna daman bachae
ki hum ne kiya hai ye sajda samajh kar
yahi hai dar-e-yar ya manzil dil
yahan aae 'bahzad' tum kya samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.