'ajab 'ālam hai merī zindagī kā
musalsal daur hai ik bebasī kā
kahīñ manzil nazar aatī nahīñ hai
natīja mil rahā hai rah-ravī kā
jidhar dekho udhar nākāmiyāñ haiñ
ḳhudā hāfiz hamārī zindagī kā
nigāh-e-mehr ke qurbān jā.ūñ
mere ġham ne bhī dekhā muñh ḳhushī kā
kisī dar se jabīñ uThtī nahīñ hai
mazā ab mil rahā hai bandagī kā
dil-e-hasrat-zada ḳhuuñ ho chalā hai
mere ġham ko bhī mauqa' hai ḳhushī kā
kisī ko kyā ġharaz dekhe jo 'bahzād'
ki kis 'ālam meñ hai banda kisī kā
'ajab 'alam hai meri zindagi ka
musalsal daur hai ek bebasi ka
kahin manzil nazar aati nahin hai
natija mil raha hai rah-rawi ka
jidhar dekho udhar nakaamiyan hain
KHuda hafiz hamari zindagi ka
nigah-e-mehr ke qurban jaun
mere gham ne bhi dekha munh KHushi ka
kisi dar se jabin uThti nahin hai
maza ab mil raha hai bandagi ka
dil-e-hasrat-zada KHun ho chala hai
mere gham ko bhi mauqa' hai KHushi ka
kisi ko kya gharaz dekhe jo 'bahzad'
ki kis 'alam mein hai banda kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.