kyā ḳhabar thī terā milnā bhī qayāmat Dhā.egā
ruuh kī bechainiyoñ ko aur bhī taḌpā.egā
guuñj uThegī chaar sū merī navā-e-’āshiqī
zindagī ke saaz meñ har naġhma ḳhud kho jā.egā
phir vahī mai-ḳhāna hogā phir vahī mīnā-e-tund
mere lab tak phir vahī paimāna khiñch kar aa.egā
phir mere pā-e-talab ko aur hogī justujū
yā'nī manzil pā ke manzil kā gumāñ kho jā.egā
phir jabīn-e-shauq hogī aur sañg-e-āstāñ
phir niyāz-e-bandagī tūfān ban kar chhā.egā
phir mirī āñkhoñ meñ machleñge vahī ashk-e-alam
jis ko pā kar merā dāman gulistāñ ban jā.egā
kyā ḳhabar thī saath chhoḌegā na ai 'bahzād' 'ishq
zindagī kā ġham mujhe tā-zindagī taḌpā.egā
kya KHabar thi tera milna bhi qayamat Dhaega
ruh ki bechainiyon ko aur bhi taDpaega
gunj uThegi chaar su meri nawa-e-’ashiqi
zindagi ke saz mein har naghma KHud kho jaega
phir wahi mai-KHana hoga phir wahi mina-e-tund
mere lab tak phir wahi paimana khinch kar aaega
phir mere pa-e-talab ko aur hogi justuju
ya'ni manzil pa ke manzil ka guman kho jaega
phir jabin-e-shauq hogi aur sang-e-astan
phir niyaz-e-bandagi tufan ban kar chhaega
phir meri aankhon mein machlenge wahi ashk-e-alam
jis ko pa kar mera daman gulistan ban jaega
kya KHabar thi sath chhoDega na ai 'bahzad' 'ishq
zindagi ka gham mujhe ta-zindagi taDpaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.