vo sūrat jo dil meñ utar jā.egī
mohabbat kī duniyā sañvār jā.egī
kahāñ tak sahūñgā maiñ ālām-e-ġham
guzarte guzarte guzar jā.egī
mire baa'd kyā hogā terā ma.aal
mirī bebasī tū kidhar jā.egī
zarā dil ko mānūs-e-ġham kar to luuñ
kalī jab khilegī nikhar jā.egī
kisī din ye aañsū bhī tham jā.eñge
jo nadī chaḌhī hai utar jā.egī
un aahoñ kā kuchh aur maqsad nahīñ
kisī be-ḳhabar ko ḳhabar jā.egī
haqīqī hai 'bahzād' 'ālam merā
mirī aah kyuuñ be-asar jā.egī
wo surat jo dil mein utar jaegi
mohabbat ki duniya sanwar jaegi
kahan tak sahunga main aalam-e-gham
guzarte guzarte guzar jaegi
mere ba'd kya hoga tera maal
meri bebasi tu kidhar jaegi
zara dil ko manus-e-gham kar to lun
kali jab khilegi nikhar jaegi
kisi din ye aansu bhi tham jaenge
jo nadi chaDhi hai utar jaegi
un aahon ka kuchh aur maqsad nahin
kisi be-KHabar ko KHabar jaegi
haqiqi hai 'bahzad' 'alam mera
meri aah kyun be-asar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.