sub.h huī chalī nasīm-e-sub.h kā mājrā na pūchh
raat to ḳhair kaT ga.ī sub.h ko kyā huā na pūchh
rāz-e-jamāl-e-āftāb zarre samajh sakeñge kyā
maiñ huuñ ki tū hai husn-e-dost kaun hai ḳhud-numā na pūchh
rahne de yūñhī raaz meñ rāz-o-niyāz-e-'āshqī
apnā bhī mājrā na kah merā bhī mājrā na pūchh
merā jahāñ jahān-e-yās chehra mirā udaas udaas
'ishq kī ibtidā ye hai 'ishq kī intihā na pūchh
dil thā merā bujhā-bujhā sajdoñ kā vahm bhī na thā
khiñch hī ga.ī jabīn-e-shauq quvvat-e-naqsh-e-pā na pūchh
tere ḳhilāf shaan haiñ itnī karam-mumā.īyāñ
hasrat-e-har gadā na sun hasrat har gadā na pūchh
'ishq kā raaz ek hai donoñ kā saaz ek hai
kis ko milā hai but na pūchh kis ko milā ḳhudā na pūchh
subh hui chali nasim-e-subh ka majra na puchh
raat to KHair kaT gai subh ko kya hua na puchh
raaz-e-jamal-e-aftab zarre samajh sakenge kya
main hun ki tu hai husn-e-dost kaun hai KHud-numa na puchh
rahne de yunhi raaz mein raaz-o-niyaz-e-'ashqi
apna bhi majra na kah mera bhi majra na puchh
mera jahan jahan-e-yas chehra mera udas udas
'ishq ki ibtida ye hai 'ishq ki intiha na puchh
dil tha mera bujha-bujha sajdon ka wahm bhi na tha
khinch hi gai jabin-e-shauq quwwat-e-naqsh-e-pa na puchh
tere KHilaf shan hain itni karam-mumaiyan
hasrat-e-har gada na sun hasrat har gada na puchh
'ishq ka raaz ek hai donon ka saz ek hai
kis ko mila hai but na puchh kis ko mila KHuda na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.