kabhī ashk paiham kabhī be-ḳhayālī kabhī thaam kar dil ko fariyād karnā
kabhī lab pe naale kabhī lab pe aaheñ kabhī chupke-chupke unheñ yaad karnā
ye raaz ek rahbar ne ham ko batāyā yahī ramz rāh-e-talab kā sujhāyā
jo manzil ho us ko na manzil samajhnā jo manzil na ho us ko ābād karnā
kisī kā ye 'ālam bhī dekhā hai ham ne hamāre liye roz-o-shab be-qarārī
kabhī kuchh tafakkur kabhī kuchh taġhayyur kabhī bhuul jaanā kabhī yaad karnā
ġhanīmat huā ḳhud se vo muskurā.e mohabbat ne baḌh baḌh ke jaadū jagā.e
dil-e-mubtalā kyuuñ na qurbān jaa.e unheñ aa gayā dil ko barbād karnā
mohabbat ne ik tarz un ko sikhāyā magar ek 'ālam ko do rañg de kar
use yaad karnā jise bhuul jaanā use bhuul jaanā jise yaad karnā
mire kufr par mere zauq-e-alam mirī zindagī ko dil-e-mubtalā ko
na tum mehar karnā na bedād karnā na ābād karnā na barbād karnā
sujūd-e-mohabbat sujūd-e-itā'at sujūd-e-'aqīdat sujūd-e-sadāqat
kisī sañg-e-dar par kisī āstāñ par jo karnā to ye kaam 'bahzād' karnā
kabhi ashk paiham kabhi be-KHayali kabhi tham kar dil ko fariyaad karna
kabhi lab pe nale kabhi lab pe aahen kabhi chupke-chupke unhen yaad karna
ye raaz ek rahbar ne hum ko bataya yahi ramz rah-e-talab ka sujhaya
jo manzil ho us ko na manzil samajhna jo manzil na ho us ko aabaad karna
kisi ka ye 'alam bhi dekha hai hum ne hamare liye roz-o-shab be-qarari
kabhi kuchh tafakkur kabhi kuchh taghayyur kabhi bhul jaana kabhi yaad karna
ghanimat hua KHud se wo muskurae mohabbat ne baDh baDh ke jadu jagae
dil-e-mubtala kyun na qurban jae unhen aa gaya dil ko barbaad karna
mohabbat ne ek tarz un ko sikhaya magar ek 'alam ko do rang de kar
use yaad karna jise bhul jaana use bhul jaana jise yaad karna
mere kufr par mere zauq-e-alam meri zindagi ko dil-e-mubtala ko
na tum mehar karna na bedad karna na aabaad karna na barbaad karna
sujud-e-mohabbat sujud-e-ita'at sujud-e-'aqidat sujud-e-sadaqat
kisi sang-e-dar par kisi aastan par jo karna to ye kaam 'bahzad' karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.