raunaq-e-bazm-e-jahan teri tamanna KHatm-shud

raunaq-e-bazm-e-jahan teri tamanna KHatm-shud
Iqbal Ashraf simnaani
MORE BYIqbal Ashraf simnaani
raunaq-e-bazm-e-jahāñ terī tamannā ḳhatm-shud
ek jalva thā nazar meñ vo bhī jalva ḳhatm-shud
chāñd khiḌkī pe mirī ab karne aa.e haiñ fuġhāñ
maiñ bhalā us se kahūñ kyā haañ vo rishta ḳhatm-shud
kaash isrāfīl kā mujh ko ḳhudā de de maqām
suur phūñkūñ aur kahūñ maiñ le ye duniyā ḳhatm-shud
pīr-e-kāmil aap se pī luuñ jo maiñ āb-e-hayāt
phir pilā kar us ko pūchhūñ jī tamannā ḳhatm-shud
manqabat nā't-o-kalām-o-marsiya aur shā'irī
aap kā thā jo bhī hissa kyā vo hissa ḳhatm-shud
kitnī jaldī aa ga.ī thī shām-e-furqat haaye re
maiñ abhī so ke uThā thā aur ye qissa ḳhatm-shud
kyā pata vo kal mileñ yā ab mileñ roz-e-hisāb
yā 'alī mushkil-kushā kar do ye vaqfa ḳhatm-shud
’īd-o-ramazāñ haj moharram saal kā har ek din
yā'nī tere bin kaTeñge to vo sapnā ḳhatm-shud
ek hasrat ek chāhat aarzū ab bhī vahī
tere siine pe ho sar phir dard-e-sar kā ḳhatm-shud
maiñ huuñ sālār-e-vafā tum ho imām-e-bā-hayā
tum ne kyā sochā ki hogā 'ahd-e-fardā ḳhatm-shud
us valī ke dar se māñgī tum vahī fariyād ho
mat samajhnā tum kabhī hogā ye rishta ḳhatm-shud
lauT aanā jab bhī chāho dar khulā hai hashr tak
mat kabhī ye sochnā hai ghar kā rasta ḳhatm-shud
naam hai 'iqbāl' merā aur usī kā hai asar
ho bhalā kyuuñ mere lahje se ye shikva ḳhatm-shud
raunaq-e-bazm-e-jahan teri tamanna KHatm-shud
ek jalwa tha nazar mein wo bhi jalwa KHatm-shud
chand khiDki pe meri ab karne aae hain fughan
main bhala us se kahun kya han wo rishta KHatm-shud
kash israfil ka mujh ko KHuda de de maqam
sur phunkun aur kahun main le ye duniya KHatm-shud
pir-e-kaamil aap se pi lun jo main aab-e-hayat
phir pila kar us ko puchhun ji tamanna KHatm-shud
manqabat na't-o-kalam-o-marsiya aur sha'iri
aap ka tha jo bhi hissa kya wo hissa KHatm-shud
kitni jaldi aa gai thi sham-e-furqat haye re
main abhi so ke uTha tha aur ye qissa KHatm-shud
kya pata wo kal milen ya ab milen roz-e-hisab
ya 'ali mushkil-kusha kar do ye waqfa KHatm-shud
’id-o-ramazan haj moharram sal ka har ek din
ya'ni tere bin kaTenge to wo sapna KHatm-shud
ek hasrat ek chahat aarzu ab bhi wahi
tere sine pe ho sar phir dard-e-sar ka KHatm-shud
main hun salar-e-wafa tum ho imam-e-ba-haya
tum ne kya socha ki hoga 'ahd-e-farda KHatm-shud
us wali ke dar se mangi tum wahi fariyaad ho
mat samajhna tum kabhi hoga ye rishta KHatm-shud
lauT aana jab bhi chaho dar khula hai hashr tak
mat kabhi ye sochna hai ghar ka rasta KHatm-shud
nam hai 'iqbaal' mera aur usi ka hai asar
ho bhala kyun mere lahje se ye shikwa KHatm-shud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.