suhulat mein izafa ho raha hai
suhūlat meñ izāfa ho rahā hai
magar insān tanhā ho rahā hai
maiñ duniyā maan ke utrā magar yaañ
tamāshe pe tamāsha ho rahā hai
bahut hairat-zada huuñ mere aaqā
tirā shaidā fasurda ho rahā hai
ḳhamoshī dostī ke darmiyāñ hī
vo ik rishta jo paidā ho rahā hai
tan-e-ḳhākī ke darje baḌh rahe haiñ
ġhilāf-e-qalb mailā ho rahā hai
dar-e-haidar pe apnī hāzirī ho
ki dāġh-e-dil jo chehrā ho rahā hai
uTho raḳht-e-safar bāñdho ki 'ashraf'
ye āñkhoñ pe jo parda ho rahā hai
suhulat mein izafa ho raha hai
magar insan tanha ho raha hai
main duniya man ke utra magar yan
tamashe pe tamasha ho raha hai
bahut hairat-zada hun mere aaqa
tera shaida fasurda ho raha hai
KHamoshi dosti ke darmiyan hi
wo ek rishta jo paida ho raha hai
tan-e-KHaki ke darje baDh rahe hain
ghilaf-e-qalb maila ho raha hai
dar-e-haidar pe apni haziri ho
ki dagh-e-dil jo chehra ho raha hai
uTho raKHt-e-safar bandho ki 'ashraf'
ye aankhon pe jo parda ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.